HAZRAT UMER(R.A) (Short story)

Posted on at


HAZRAT UMER(R.A)  KA KHAT DARYAE NEIL K NAME:

daryae neil mulk misar ka wo darya ha jis se bht se tareekhi waqayqt wabasta ha.ye dunia ka lamba tareen darya ha jis ki lambai 2 hazaar 413 meel ha.ye itna qadeem darya ha k HAZRA MUSA k zamana m nabuwat m firaon apne hawarion k is darya ko aboore krte hove is ki sirkash lehro ki bainth char gaya.firaon k shahi najumion ne ise batlaya k jld hi firaoni sultanat m aik aisa bacha tolad ho ga jo teri saltanat-o-hakumat ki tabahi or teri halakat ka paish khama sabit ho ga .najumion ki paishgoi sun kr firaon ne tamam sultanat m ilaan krwa dia k jo b bacha paida ho use foran qatal kr dia jaye.israr rabani se bala kon ashna ha is k baid kon janta ha insani aqal iski hakumaton ka ahata ni kr sakti.ye iski qudrat ka karishma tha k jb HAZRAT MUSA paida hove to ap ki walda ne ap ko box m bnd kr k daryae neil k pani m baha dia.or bahifazat ye box ja k daryae neel k kinare firaon k mahal ki diwaro se ja laga.jb nikala gaya to aik chand ki manind masoom bacha muu m anghoota rakhe bare sakoon se leta hova apne khaliq haqiqi ki trf dekh raha tha.na ise neil ki taiz lahre nuksaan pohncha saki or na hi wo firaon k sarkari qatloo ki talwaro ka nishana bn saka.blke MUSA ne firaon k ghar perwarish pai isi waqaya or shaksiat k hawale seaik sacha waqaya sunta hu.

khalifa sani HAZRAT UMER bin KHATAB madina manavra m apni sarkari khidmat sia anjaam de rahe ha. ap k shaboroz din-e-islam or awam ki khidmat m guzr rahe ha.ap k ahd-e-khilafat m muslmano ne dure dure tak ilaqe fatah kr k sultanat-e-islamia m shamil kr liye gaye the.mujahidin islam araboajam rumeosham or fars fatah krte hove misr ja pohnche or kch arse bad ye mulk b kashure farooqi m shamil ho gaya.is mulk ko fatah krne m mashoor sahabi HAZRAT UMER BIN AAS(R.A) NE bari shujayat or pamardi ka muzahira kia or inhe misr ka governer muqarar kr dia gaya.aik martaba ap apni rozemara ki masroofiyat se farig ho kr qahira ki abadi k bahir apne khame k samne tashreef farma the. ap k bht se mujahidin b halqa aqidat bnae majood the.kch dair k bad qahira se kch amaidin waha hazir hove. ap ne amad ki waja daryaft farmaito unho ne batlaya k hm ap ki khidmat m aik nahayat ahm kam ki ijazat hasil krne k liye hazir hove ha.umeed ha k ap mayoos-o-naumeed ni farmaye ge.

HAZRAT UMER BIN AAS Ne in ki bat sun kr farmaya k akhiraisa konsa kam ha.jis ki ijazat itni lazm or nagazeer ha.agr wo kammaqool or jaiz manasib ho to is ki manzoori ki ijzat zaror di jaye gi.ap ko batlaya gaya k mulk ki zaraaet or khooshali ka darumidaar daryae neil per ha q k is m kasrat se pani behta ha.ye darya apne qudrti tareeqa se bohtar rahe to fasle achi or kasrat se hoti ha.or mulki paidawar m b azafa hota ha mgr herat ki bat ye ha k ju hi mosm khizan ki shuruat hoti ha is darya ka pani khusk ho jata ha.aik aisa wqt b ata ha jb aik qatra b ni rehta.nateeja ye hota ha k khusk sali ki lehr dore jati ha.

fasle kmyab ho jati ha or raya mayoose or haznomalal ka shikar ho jati ha.jb HAZRAT UMER ne ane walo se ye haurat angaze bat suni to pucha k iska koi azaala ni to unho ne jwab dia.k darya ki khuski ko bahal krne k liye hame aik qurbani dena perti ha.ap nr daryaft kia k wo qurbani kesi or kis qism ki. unho ne bataya j aik khoobsurat dosheeza ko darya ki bhaint charhaya jata ha.jis se is ki khuski khatm ho jati ha or darya tarotaza ho jata ha or darya m puri rawani se pani ata ha.mgr ye kam hm kitne salo se kr rahe ha hamari ap se guzariish ha k hame is rasm se nijat dilwai jaye.HAZRA UMER ne jb ye dastaan suni to hiran ho kr puchne in se puchne lage k ye rasm kb se chali aa rahi ha.unho ne jwab dia.ya HAZAT ye hamari bbht hi purani rasm ha.hr saal ju hi mosam khizan ki amad amad hoti ha hame apne khandanoo m se aik haseena jameela lrki ko qurbaan krna perta ha or ise darya ki bhaint charhana perta ha jis se mulk khusk sali se mehfooz ho jata ha.m smj gaya hu k ye aik qadeem zamane ki farsooda or zalimana rasm ha.is bare m khalifa ko likh bheju ga ta k jald se jsld ia rasm se chutkara paya jaye.ap kch arsa bad muj se rabta kr k maloom kr le.HAZRAT UMER BIN AAS ka tasali bakhsh jwab sun kr namainda wafd k arakeen mutmain ho kr wapis loat gaye.is k bad ap ne aik maktoob mufasil halat k sath islami rarul hakumat madina manavra m ameer ul momneen HAZRAT UMER FAROOQ KI KHIDMAT M IRSAL FARMAYA.HAZRAT UMER FAROOQ(R.A) ne is ke jwab m governer misr UMER BIN AAS ko likha k m aik maktoob irsaal kr raha hu jo daryae neil k name ha or mera ye khat daryae neil m dal dena.apne dusre maktoob m governer misr ko mukhatib krte hove ap ne farmaya.

daryae neil ko kisi dosheeza ki nazr paish krna ahd-e-jahalat ki aik buri or zalimana rasm ha mgr ab ye dore din-e-islam ka ha.ab to noor islam ne jahan duniya ko roshan-o-taban kr diya ha .lahaza ap dair kiye bagair misr ki is rasm ko khatm kare or neil k nam per mere is khat ka jo radeamal ho wo foran mje is se mutla agaah kia jaye neiz khudae wahda la shareek k hazoor kamyai ki dua krna. ap (R.A) ne tasmia se shuru kia. manjanib: khuda k bande UMER BIN KHATAB AMEER-UL-MOMNEEN. BANAME:BEHR NIEL MISRIA ehr neil agr tu jari sari ha or tu jari rehta ha apni marzi se to hme teri bilkul zaroorat ni or tere daste nagar or ni ha or a daryae neil agr tu jari ha or jari rehta ha ALLAH K HUKM SE TUJE PHR RUKNE KI ZARORAT NI.TU NAFARMAN mt bn or tuje hamesha jari rakhta ha wohi tuje jari rakhe ga.tu kon hota ha tuje koi b ikhtiyar ni ha a daryae neil.

darya m dosheeza ko bhaint charhane ki tareekh pehle hi guzr chuki thi ameerulmomneen k khat ane se o darya m pani ki kami hoti ja rai thi jis se khushk sali ka andesha paida ho gaya tha.ahlemisr ko tugyani radani ki umeed na thi.albata wo ane wale nazuk lamhat se behd khaif the. isi duran ameer ul momneen k dono khat HAZRAT UMER BIN AAS KO mil gaye the.unho ne hasb-e-wada in kashtkaro ko mutla farmaya jo kch arsa baishtr in ki khidmat m hazir hove the.jb in logo ko hazrat umer k khat ka mazmoon sunaya gaya to wo bht hiran hove mgr mutmain hove.daryae neil k sahil pr pohnche.hr koi ye ajeeb waqaya dekhne mushtaq tha. jb ameerulmomneen ne hukm or khalifa ki hadayat k mutabiq wo khat daryae neil k pat m phenkha to ahle nazr ye dekh kr hiran ho gaye k jis darya m pani ka qatra b ni dekhte hi dekhte is m pani ki satah bari tazi se buland hoi.pani itna jama ho gaya k darya k kinare doo gaye. yaha tak k tugyani ki kafityet paida ho gai.darya k sahil per aik ajeeb eman afroza nizara tha. ahle misr khushi se naach rahe the.in k cehre khushi se khil uth chuke the.hr trf aik ajeeb nizara tha. phir is k pani se bag sir sabz shadab ho gaye.hr trf sabza hi sabza.hr trf bahare.hr trf hryali . hr trf khushi ki lhr dor gai.

islam k is azeem farzand k is khat ne jo karishma dikhaya is se ahle misar ka ghair muslim tabqa itna mutasir hoa k islam qabool kr liya.tareekh is bat ki sahadat deti ha k is k bad darya kabi khushk ni hoa or na hi misr m kabbi khushk sali paida hoi.ab phir kabi darya m kisi ki bhaint na charhai gai.or ab na misr ko ye gham k hamari mashiyat mutasir ho gu.blke darya puri rawani se chalne laga.ye sb ALLAH k naik bando ka faiz ha jinho ne ALLAH li atayat ko apni zindagi ka maqsad banaya.ye sach ha k jo naik niyati or khaloos dil se us rab ka ho jata ha wo apni khas rehmat k sath is ko wasee ikhtiyarat aata farma deta ha.phir insan to insan sur kash daryao ko b in ka hukm tasleem krna perta ha.

                                                                    THE END

Written by: Babar Adrees

International islamic uni islamabad (iiui)


TAGS:


About the author

Ihtasham-Zahid

I am student of Electronics Engineering in International Islamic University Islamabad.

Subscribe 0
160