Apni ruswai tere naam ka charcha dekhun

Posted on at


Apni ruswai tere naam ka  charcha  dekhun
Ik zara sher kahun aur mein kya kya dekhun

Neend a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
Aankh khul jaye to tanhai ka sehra dekhun

Sham bhi ho gai dhundhla gai ankhen  meri
Bhulne wale mein kab tak tera rasta dekhun

Sab ziden uski mein puri karu har bat sunu
Ek bache ki tarah se usse hansta dekhun

Mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
Ang ang apna ussi rut  mein  mehakta  dekhun

Tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
Ji mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun

Mein ne jis lamhe ko puja hai usse bas ik bar
Khwab ban kar teri ankhon mein utarta dekhun

Tu mera kuch nahin lagta magar Ae jan-e-hayat
Jane kyon tere liye dil ko  dharakta  dekhun



About the author

160