Ye baat or hai k teri meri banti nahi
Par hum dono k bina mahfil jamti nahi
Din to guzar lete hain youn hi yaadon ke sahare
Par tumse ladaii kiye bina raat katti nahi
Kosish to karta hun auro ko bhi dekhne ki
Par kya karun aankhon main tere siwa koi surat basti nahi
Youn to apna koi afsana ya aasiyana nahi
Par tumhare bina to apna koi thikana nahi
Youn to mayaparston ke beech guzari hai zindagi
Par tere jane ke baad to hayate masti nahi
Itna jayada rula chuki ho tum in aankhon ko
Ki ab majboor karne par bhi ye ashk bahati nahi
Youn to dil ki aag mein jal chuka hun main
Par fir bhi tere bina sama jalti nahi
Youn to apna sar kabhi jhukta nahipar kya karun
Tere aane ke baad nigaahein uthti nahi
Youn to teri muskrahaton par nishar hun main
Par kya karen apni to ruh muskrati nahile
Jjao apni jaan ko tum loot kar
Kynki pata hai hume jaan apni kimati nahi