Gehri Gehri Aankhein

Posted on at


Gehri gehri aankhon wali Uljhi uljhi pagal larki Tu yeh kis ki dhun mein aakhir Lambi lambi palkoon ooper Motay motay aansoo lay kar Sundar komal pairon neechay, Julti balti dharti day ker Qariya qariya bhaag rahi hai, Kis ki khaatir jaag rahi hai Tujh ko yeh maaloom nahi kya Tujh jaisi najanay kitni Gehri gehri aankhoon wali Kaisi kaisi sundarta kay Dhair khazanay lay kar nikleen Lakin phir bhi us rastay say Manzil tak pohchanay wala Har ik saathi jhoota nikla Ik ik aasha dushman nikli Ik ik sapna dhoka nikla Sachha har ik khadsha nikla Dekho! Tum bhi janay do ab Nadaani ka jitna rasta Tum nay ab tak tay kar dala Us rastay say ghar ki manzil Ab bhi itni door nahi hai Ab bhi wapis ja sakti ho Sab kuch wapis pa sakti ho Ab bhi agar tum nadani kay Is rastay say ghar ko wapis na palti To phir ik din aisa ho ga Sundar aankhein mar jain gee Palkein khoon se bhar jain gee Jaan laboon par aa jaye gee Tan kay saaray ujlay pan ko Ghor musafat kha jaaye gee Uss din phir tum chilaao gee Lakin kuch haasil na ho ga Saray lams ke bhookay saathi Pankh laga kay urr jain gay Tum rastay mein reh jaao gee Rasta bhi woh keh jis kay peechay Darr ki gehri daldal ho gee Aagay gham ka jungle ho ga Sar par gehra badal ho ga Uss din kay aanay say pehlay Uss din tak jaanay say pehlay Waqat milay to dhalnay walay Har lamhay ki zaat pay socho Duniya ki bareek nazar say Duniya ki har baat pay socho Jazboon ki auqaat hi kiya hai Jazboon ki auqaat pe socho Woh dekho !! Ik saaye par phir weeranay mein bijli karki Gehri gehri aankhoon wali Uljhi ulhji pagal larki.........



About the author

160