Kisi Ka Tha Woh

Posted on at


Kisi ka tha woh fusoon, jo kiya.. kiya maine!
woh hosh tha ki junoon, jo kiya.. kiya maine!
Jo ho chuka wahi kaafi hai dil dukhaane ko,
ab aur kuchh na karun, jo kiya.. kiya maine!
Mere wajood mein shaamil rahe hain kitne wajood,
toh phir ye kaise kahun, jo kiya.. kiya maine!
Har ek sawaal pe kitnon ke naam niklenge,
koi jawaab na dun, jo kiya.. kiya maine!
Bahut azeem hai dushman karega kaun yaqeen,
kisi ka naam na lun, jo kiya.. kiya maine!
Khuda ka shukr na bandon ka shukriya waajib,
isi fareb mein hun, jo kiya.. kiya maine!!


TAGS:


About the author

160