Nice one

Posted on at


mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e-bazm raat ye kia hua
merii aankh kese chalak gaii, mujhe ranjj ha ye bura hua
merii zindagii k charaagh ka ye mizaaj koi neya nahi
kabhii roshnii kabhii teergii,na jala howa na bujha hua
mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila, wohi pukhta kaar-e-jafa mila
na kisii kii zarb ghalat parii na kisi ka teer khata hua
mujhe aap kyon na samjh sake, kabhi apne dil se bhi pocheye
meri dastaan-e-hayaat ka tu warq warq hai khula hua
jo nazar bacha k guzar gai mere saamne se abhi abhi
ye mery hi shehr k log thye, merey ghar se ghar hai milaa hua
humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e-bazm-e-kholoos hon
na humarey paas naqaab hay, na kuch aasteen main chupa hua
merey aik gosha-e fikr main, meri zindagi sey aziz tar
mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda hua
mujhe ik gali main para hua, kisi badnaseeb ka khat mila
kaheen khoon-e dill sey likha hua, kaheen ansoon sey mita hua
mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri trha
kai manziloon ka thaka howa, kaheen raaste main luta hua
humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah umr guzar gae
koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada hua.........



About the author

160