porty

Posted on at


Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumar karna,Jo mere hisse main aayi hain woh aziyaten bhi shumar karna,Jalaye rakhoon gi subah tak main tumhare raste mein apni ankhen,Magar kahin zabt toot jaye to barishen bhi shumar karna,Jo harf loh-e-wafaa pe likhe huye hain in ko bhi dekh lena,Jo raayegan ho gayin woh sari ibaartain bhi shumar karna,Yeh sardiyon ka udaas mausam ke dharrkne barf ho gayi hain,Jab in ki yakh’bastgi parakhna, tamaazten bhi shumar karna,Tum apni majbooriyon ke qisse zaroor likhna wazahton se,Jo meri ankhon main jal bujhi hain woh khawhishen bhi shumar karna..



About the author

160