ameer-ul-momneen ki dawat.

Posted on at


Name:Ameer-ul-momneen ki dawat

Hazarat umer bin abdul aziz k dor-e-khalafat me ak roz kisy ne ap ko itlah dy k islamy afwaj ka sipa salar apne bawarchy khana me ruzana kamz kam ak hazar diram kharach karta h.

ye jan kar ap ko bohat afsos huwa. Itlah dene wale se farmane lage.

 Kitne afsos ki bat h k apne esho aram ki khatir bewao, yateemo or maskino k
haq ko najaez tor par ala lazeez or mehnge khano ki nazar kiya ja raha h.

sipa salar ko foran apne hazoor talab farmaya or pegam bega k dupehar ka khana wo ameer-ul-momneen k dastar khan par khae.sipa salar is hangamy or bager itlah ki dawat par bohat hiran or fiqarmand huwa.

ameer-ul-momneen k hukam ki tameel lazam the. idar hazart umer bin abdul aziz ne khudam ko hukam diya k aj tara tara k lazeez or mazedar khane tayar kare. jab k in k sath bilkul sada jao ka dalya b banaya jae.

Program k mutabic jab sipa salar ameer-ul-momneen k ha dawat par pohncha to ap ne ise dastar khan par bithaya magar jan buj kar khana mangwane ka hukam na diya jab kafi dar tak bate karne k bad sipa salar ko sakhat bhook mehsoos hone lagy to ameer ul-momneen ne khana lane ka hukam diya. sab se pehle jo khana dastar khan par laya gya wo jao ka dalya tha.

kio k sipa salar bhook ki waja se nadhal ho raha tha is liye ameeer-ul-momneen k sath jao ka dalya khane me masroof ho gya. ise bhook ki waja se ye sada gaza b mezedar lagy. or is ne pait bar kar khaya.is k bat umer bin abdul aziz ne pur takalf or mazedar khane lane ka hukam diya. jab khane dastar khan par sajae gae or sipa salar ko mazeed khane ki dawat dy gae to us ne nahaet adab se ye keh kar mazeed khane se inkar kar diya k mera pait jao k dalye se full ho chuka h. ab mazeed kuch khane ko jee nai chahta. sipa salar ki ye bat sun kar ameer-ul-momneen ne farmaya .

subhanallah! kia hi acha or behtreen khana h jo k insan ka pait bar daita h or is par zayada rakam b kharach nai karni parti sorf ak diram me 10 admy pait bar sakte hain. muge afsos h k fojo k sipa salar par jo ruzana apne dastar khan par ak hazar diram kharach kar deta h.

phir ap ne sipa salar se farmaya:

khuda ne ap ko ye ala ohda ata farmaya h. ap ko chahye k allah k khof ko dil me rakhe or apne ap ko fazool kharach karne walo me shamil na kare. ap ko maloom h k allah tala fazool kharach karne walo ko bilkul pasand nai karta.or fazool kharach karne walo ko shitan ka bhai kaha gya h.jo bary raqam ap ruzana in lazeez khano me zaya karte hain. wo allah ki makhlook k mustahiq logo ka haq h. ap par lazam h k wo har halat me in tk pohnche ta k allah tala ap par khush ho. kia me umeed rakhu k ap age is kam ko tarak kar da ge.

sipa salar ameer-ul-momneen ki in bato se behad nadm huwa or sharmindagy se is ka sara chehra pasine me beeg gya.phir is ne khalifa se wada kia k age se ase nai ho ga.

ap ko maloom hona chahye k hazarat umer bin abdul aziz bohat parhezgar or mutki insan the.allah k khof ko hamesha nazar me rakhte. sipa salar ko in ki ye nasiyat us qurani arshad k mutabic h jis me rab kareem ne farmaya h k.

"" khao or pio magr itna khayal rahe k khane pine par kharach hone waly rakam fazool kharchy me shamil na ho. sadgy or kafaet shaery insano k liye behtreen rasta h""

                                       THE END

Babar Adrees

International Islamic University islamaba (IIUI)



About the author

Ihtasham-Zahid

I am student of Electronics Engineering in International Islamic University Islamabad.

Subscribe 0
160