Beautiful Ghazal by Bahadur Shah Zafar

Posted on at


Lagta nahin hai dil mera ujre dayaar mein,

Kiski bani hai aalam-e-napayedaar mein...

 

Keh do in harsatoon se kahin aur jaa basein,

Itni jaga kahan hai dil-e-daghdaar mein..

 

Umre-daraz maang ke laye the chaar din,

Do aarzu mein katt gaye do intezaar mein..

 

Bulbul ko baaghbaan se na sayyad se gila,

Kismat mein qaid likhi thi, fasl-e-bahaar mein..

 

Kitna hai badnaseeb Zafar, dafan ke liye.

Do gaz zameen bhi na mili kuu-e-yaar mein..About the author

160