Daleel-E-Subah-E-Roshan Hai Sitaron Ki Tunak Tabi

Posted on at


Daleel-E-Subah-E-Roshan Hai Sitaron Ki Tunak Tabi Ufaq Se Aftab Ubhra, Gya Dour-E-Garan Khawabi Urooq-E-Murda’ay Mashriq Mein Khoon-E-Zindagi Dora Samajh Sakte Nahin Iss Raaz Ko Seena-O-Farabi Musalman Ko Musalman Kar Diya Toofan-E-Maghrib Ne Talatum Haye Darya Hi Se Hai Gohar Ki Seerabi Atta Momin Ko Phir Dargah-E-Haq Se Hone Wala Hai Shikoh-E-Turkamani, Zehan-E-Hindi, Nutq-E-Arabi Asar Kuch Khawab Ka Ghunchon Mein Baqi Hai To Ae Bulbul ! “Nawa Ra Talakh Tar Mee Zan Choo Zauq-E-Nagma Kmyabi” Tarap Sehan-E-Chaman Mein, Ashiyan Mein, Shakhsaron Mein Juda Pare Se Ho Sakti Nahin Taqdeer-E-Seemabi Woh Chashm-E-Paak Been Kyun Zeenat-E-Bargistawan Dekhe Nazar Ati Hai Jis Ko Mard-E-Ghazi Ki Jigar TabiAbout the author

160