Ghazal's

Posted on at


Jahaan Hum Juda Huwe The Wo Maqaam Likh Diya Hai

Mere Aansuon Ne Aksar Tera Naam Likh Diya Hai..

Tujhe Apni Karwaton Ka Main Hisaab Dun To Kaya Dun

Tera Khat Mila Hai Lekin Main Jawaab Dun To Kaya Dun

Main Ne Sirf Kore Kaaghaz Pe Salaam Likh Diya Hai..

Kabhi In Kahaniyon Ne Kabhi Un Paheliyon Ne,

Mujhe Is Qadar Sataya Hai Meri Saheliyon Ne,

Mera Naam Likh Ke Aage Tara Naam Likh Diya Hai..

Tera Naam Dharkano Mein Tera Naam Hai Labon Par

Tera Naam Aansuon Par Tera Naam Aainon Par

Kisi Aur Ko Main Sochun, Ye Haraam Likh Diya Hai...!!!!

⁀‵⁀)
.`⋎
Saza Pey Chor Diya Jaza Pey Chor Diya

Har Ek Kaam Hum Ne Khuda Pey Chor Diya

Woh Hum Ko Yaad Rahkta Ya Bhula Deta

Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pey Chor Diya

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe

Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pey Chor Diya

Us Se Baat Bhi Karte To Kis Tarah Karte

Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pey Chor Diya

Iss Liye To Woh Kehte Hain Be'Wafa Hum Ko

K Hum Ne Saara Zamana Wafa Pey Chor Diya...!!!

⁀‵⁀)
.`⋎

~~~~~~MAIN NE SOCHA THA~~~~~~

Aaj Aap Aayen Ge To Ro Doon Gi

Aap puchen Ge

To Sab Haal Keh Doon Gi

Keh Doon Gi K Kitne Din Huwe Soi Nahi

Wo Kon Si Bhool Hai Jo Hui Nahi

Kitaab Fridge Mein, Glass Shelf Mein Rakha

Peer Ka Din Tha Jumeraat Likha

Saheli Se Shikwa Karna Tha Use Spaas Likha

TV par Geet Tha Azaan Nahi

Main Ne Chonk Kar Aanchal Sar Par Rakha

Kya Haal Kar Diya Mera,,

Mujhe Kisi Kaam Ka Na Rakha

Aur.....

Jab Aap Ne Aa Kar Poocha

Kya Haal Hai ?

To Mein Itna Hi Keh Saki

~~~~~~~Theek Houn~~~~~~~

Beete Dinon Ki Yaad Satati Hai Aaj Bhi
Kya Wo Zamane Phir Kabhi Wapas Na Aayen Ge
Kya Hum Tamaam Umar Younhi Roye Jayen Ge..!
Jab Ishq Par Bahaar Thi Wo Din Kidhar Gaye
Dil Tootne Se Pehle Hi Hum Kiyun Na Mar Gaye
Ab Kya Raha Hamare Liye Is Dayaar Mein
Aansoo Bhi Khatam Ho Gaye Ro Ro Pyaar Mein
Aankhon Se Dil Ka Khoon Kahan Tak Bahayen Ge..!
Nazdeek Tum Se Jaan-e-Wafa Hum Hain Aaj Bhi
Hai Sirf Darmiyaan Mein Deewaar-e-Zindagi
Ye Parda Uth Gaya To Ghum-e-Ishq Ki Qasam
Dil Ko Yaqeen Hai K Tumhen Paa Hi Lein Ge Hum
Phir Apni Daastaan Ko Haqeeqat Banayen Ge.
Beete Dinon Ki Yaad Satati Hai Aaj Bhi...!!!!!



About the author

160