Silent words...

Posted on at


meri zindgi to firaq h,wo azal se dil me maken sahi,
wo nigah e shoq se door h, rag e jaan se lakh qareen sahi,
hamn jaan deni h ek din, wo ksi trhan wo kahin sahi,
hamn aap daar p khechye, jo koi nhi to hm hi sahi,
sr e toor ho, sr e hashr ho, hamn intzar qabool h,
wo kbhi miln, wo kahin miln, wo kbhi sahi, wo kahin sahi,
na ho un p mera jo bs nhi, k ye aashqi h hawas nhi,
me un hi ka tha, me un hi ka hun, wo mere nhi, to nhi sahi,
mujhe bethne ki jga mile, meri aarzo ka bharam rahe,
teri anjuman me agr nhi, teri anjuman ka qareen sahi,
tera dr to hm ko na mil ska, teri rah guzr ki zameen sahi,
hamn sajda krne se kaam h, jo wahan nhi to yahin sahi,
meri zndgi ka naseeb h, nhi door mujh se qareeb h,
mujhe uska gham to naseeb h, wo agr nhi, to nhi sahi
jo ho faisla wo sunaye, use hashr pr na uthaye,
jo krnge aap sitam wahan, wo abhi sahi wo yahin sahi,
use dkhne ki jo lo lgi ,to Naseer dkh hi lnge hm,
wo hazar ankh se door ho, wo hazar parda nasheen sahi.
USE DKHNE KI JO LO LGI, TO NASEER DKH HI LNGE HM,
WO HZAR ANKH SE DOR HO, WO HZAR PARDA NASHEEN SAHI.



About the author

160