Waqat ak sa nahi rehta (Short story)

Posted on at


                    Waqat ak sa nahi rehta

Kisy shehar me ak bohat ameer admy rehta tha. Maal, dolat, izat or waqar, gar biwi garz har nemat muyasar the. ak din seth or is ki biwi bath kar kahana kha rahe the k kisy gada gr ne beekh mangne ki sada lagae or kaha. allah k nam par is bhooke ko khane k liye kuch ata kare. seth chon k gusely tabiyat ka malik tha. faqeer ki awaz sun kar is ne apne mulazim ko bula kar kaha. ese logo ko gar k andar q ane dete ho? ise foran baher nikal kar gate band kar do. or aenda ehtiyat se kam lena.

seth ki biwi qadre naram mizaj or reham dill the apne khawand k is rawaye par ise dukh to huwa magr kuch keh na saky. khuda ki qudrat k abi chand saal hi guzre the k seth k halat badlne lage ise karobar me shadeed nuqsan se do char hona para. ak roz jab wo intahae pareshani ki halat me apne gar pohncha to biwi ne pucha. kia halat kuch behtar hone ki tawako phaida hue h? seth ne gam me dubi hue awaz me jawab diya. Kia batlao halat ne muge kori kori ka muhtaj kar diya h. Behtry ki koi soorat nazar nai aty. agr yahi rang dang raha to rahi sahi pungy or jaedad b hato se jaty rahe gy. muge to ane wala waqat bara bayanak or khofnak dikhae de raha h.

Biwi ye sun kar chup ho rahy. zindgy ki gary apne manzil ki taraf chalty rahi or halat me din ba din begar phaida hota chala gya. akhar wo din b aa gae k  nobat faqa kashy tk aa gae. Ba ronaq gar viran ban gya. ak din seth bary pareshani ki halat me gar se bahir nikla or phir kai saal tk is ka koi pata na chala k wo kaha h. is ki biwi or rishte daro or digar logo ko ye yakeen ho gya k halat ki gardish se gabra kar us ne khud kushy kr ly h. Ak taweel intzar k bad seth ki biwi ne dusry shady kar ly. is tara is ki zindgy phir aram-o-sakoon se guzre lagy. is ka naya khawand bara reham  dil nak mazaj insan tha. har muhtaj ki madad kar k dily khushy mehsoos karta. Ak roz dono miya biwi gar me bethe khana kha rahe the k kisy faqeer ne baher se sada lagae.

Khuda ki rah me mery kuch madad farmae.
gada gar ki awaz sun kar is k shohar ne kaha. sael (sawaly) ko kuch de dain. chanacha wo khatoon foran uthy baher darwaze par gae abi is ne hat age barhaya hi tha k gada gr k chehre par nazar parte hi is k mu se ak sheekh nikly or wo piche hathte hi gir pary. shohar ne foran ise zameen se uthaya or hosh me lane ki koshish ki. jab is k hawas zara sanble to shohar ne herangy se pucha kia mamla tha?

Biwi ne bari madam awaz me ise batlaya k jis sael (sawaly) ko apne kherat dene ko aha tha wo shehar ka ameer seth mera pehla shohar tha. is ne mazeed batya k aj se kai baras pehle isy tara hamare gar me ak bekhary bheek mangne aya tha to mere shohar ne mulazim se keh kar ise nikalwa diya. aj waqat ka ajeeb-o-gareeb rang dakhye wahi seth aj khud bekhary bn kar dar dar ki thokre kha raha h. jab apny biwi ki zuban se is k dusre shohar ne ye haqiqat suny to is k chehre ka rang pila par gya. Biwi ne jab ye dakha to gabra kar boly. kia bat h ap ko kia huwa? us ne bari mushkil se apne ap ko sanmbala or bola. e naik bakht khatoon! ap ne jo dastan sunae yakinan bari dardnak h. lakin is se b dardnak or ibrat angez bat ye h k jis gadagr ko tumhare sabka shohar ne  dant palae or mulazim k zariye gar se baher nikalwa diya tha wo bad naseeb bekhary me hi tha. Halat ne ise seth se bekhary or muge bekhary se seth bana diya.

MORAL

Maloom ye huwa k hame kabi b kisy adna o alah ko hakarat se nahi dakhna chahye. sael (sawaly) jo b ae hasbe tofeeq is ki madad kare warna payar or aram se mazrat kar le.

THE END

Written by: Babar Adrees

International islamic university islamabad (iiui)



About the author

Ihtasham-Zahid

I am student of Electronics Engineering in International Islamic University Islamabad.

Subscribe 0
160