Wo kehti ha suno jana Muhabbat mom ka ghar ha .....

Posted on at


Wo kehti ha suno jana mohabat mom ka ghar ha
Tapeshi badgumani ki kahin pigla na dy is ko …

Main kehta hun k jis dil main zra b badgumani ho
Wahan kuch or ho na ho mohabat ho ne sakti …

Wo kehti ha sada aesy hi kia tum muj ko chaho gae
K main is main kami bilkul gawara ne kr sakti…

Main kehta hun mohabat kia ha yeh tum ny sikhaya ha
Mujy tum sy mohabat k siwa kuch b ne ata…

Wo kehti ha judai sy buhat darta ha mera dil
K tum sy hat kr khud ko dekhna mumkin ne ha ab…

Main kehta hun yehi khadshy buhat muj ko sataty hain
Magar such ha mohabat main judai sath chalti ha …

Wo kehti ha btao kia mery bin g sako gae tum
Meri batain meri ankhain meri yaadain bhula do gae…

Main kehta hun kabi is bat py socha ne meny
Agr ik pal b sochon toh sansain rukny lagti hain. .

Wo kehti ha tumhain muj sy mohabat is qadar kiu ha k main ik aam sy larki tumhain kiu khas lagti hn…

Main kehta hun kbi khud ko meri ankhon sy tum dekho
Meri deewangi kiu ha yeh khud hi jaan jao gi …

Wo kehti ha mujy waraftagi sy dekhty kiu ho
K main khud ko buhat hi keemati mehsos krti hun…

Main kehta hun mta e jann buhat anmol hoti ha
Tumhain jb dekhta hun zindagi mehsos krta hun…

Wo kehti ha mujy ilfaz k jugno ne milty
Tumhain batla sakon dil main mery kitni mohabat ha …

Main kehta hun mohabat toh nigahoon sy chalakti ha
Tumhari khamoshi muj sy tumhari bat krti ha …

Wo kehti ha batao na kisy khony sy darty ho
Btao kon ha wo jis ko yeh mosam bulaty hain…

Main kehta hun yeh meri shaeri ha aina dil ka
Zra dekho btao kia tum ko is main nazar aya…

Wo kehti ha k atif g buhat batain banaty ho
Magar such ha k yeh btain buhat hi shaad rakhti hain…
Main kehta hun yeh sab batain fasana ik bahana hain
K pal kuch zindagani k tumhary sath kat jain…

Phir us k bad khamoshi ka dil kash raks hota ha
Ankhain bolti hain or lab khamosh rehty hain …



About the author

ahmedpakido

Professional MMA & fitness instructor in dubai

Subscribe 0
160